Facebook Account Hack Hone Se Kaise Bachaye (6 Tarike)
Facebook sabse jyada popular social networking site hai. Jis par daily croro users active rehte hai. Aur kabhi kabhi koi choti si mistake se unka account hack ho jata hai. Fir laakh koshish ke baad bhi voh apne hacked account ko access nai kar pate. So isliye yeh janana zaruri hai ki facebook account hack kaise hota hai, Hackers facebook ko hack kaise karte hai and facebook hacking se kaise bach sakte hai. Apne facebook account ko secure kaise rakhe.
Facebook hacking se bachne ke tarike janane se pehle hame yeh samjhna hoga ki facebook account hack kaise hota hai. Voh konsi methods hai jinse hackers aapke facebook account ko hack karte hai. Vaise toh sirf facebook hi nahi Instagram, Twitter Aur google jaisi sites ko bhi hack kiya ja sakta hai. In sabhi sites ko Login Site kehte hai. Login site ko hack karne ke 6 tarike hai jo Yaha Bataye Hai !
Ab ham aage badhte hai. How to protect facebook account from hackers. Aap se request hai ki yeh post ko dhyan se padhe kyu ki yeh ek bahut hi important jankari hai jo aapke facebook account ko safe and secure rakh sakti hai. PS par hamne hacking se related bahut si informations share ki hai jise aap Hacking Series me padh sakte hai.
Facebook Hacking Se Kaise Bache
Facebook Account hack karne ke liye mostly hackers phishing method ka use karte hai. Ek hi phishing method ko voh log alag alag roop me pesh karte hai. Jaise ki kabhi hame phishing link bheji jati hai, Kabhi phishing application toh kabh phishing videos. Alternative jyadatar hacking phishing method se hi hoti hai.
(1) Fake Applications
- Facebook par jab kabhi aap koi quiz play karte hai ya phir kisi application ko use karte hai to aapne notice jarur kiya hoga ki wo application aapse permission maangta hai. Is permission me almost saari cheeze include hoti hai jisase ki aapka FB account ko bina aapke persmission ke access kiya ja sake. Asaan sabdo me kahoon to aap permission dete samay is baare me jara bhi nahi sochte aur one click se Allow or OK button ko daba dete hai. So next time soch samjh kar kisi bhi game and application ko apna Facebook login permission dijiyega.
(2) Fake Videos
- Facebook par jo videos available hote hai isko lekar bhi aapko thoda alert rehna chaiye. Mai ye nahin keh raha ki saare videos spam hote hai. Bahut se spammers in spam videos ke jariye Facebook user’s ko target karte hai. Aur isse jab koi user un videos par click karta hai to automatically uske profile se other ki profile par wo videos promote ho jata hai. Kayi baar aapko pata bhi nahin hota aur aapke comments dusro ke profile par spread ho jate hai.
(3) Phishing Link
- Aapko koi personally message karta hai or kehta hai ki bhai is link par click kar ke aap facebook ke new and latest version ko access kar sakte hai. Yeh sun kar aapko acha lagega or aap us fake link par click kar ke apni id or password daal kar login kar lenge. Par dosto yeh koi latest version nahi hai but hackers ne phishing method se aapka email address or password pata laga liya. Toh fb login ke liye sirf facebook ki official website ya application ka hi use kare.
(4) Strong Password
- Agar aapka facebook password aapki birthdate hai, mobile number hai ya aapki girlfriend ka naam hai toh koi bhi logical banda aaram se aapka facebook password pata laga kar facebook hack kar sakta hai. So koi aisa password create kare jo kabhi koi soch bhi nai sakta koi aisa unique password jo sirf aapko hi pata ho. Strong password create karne ke liye aap special characters (!,@,#,*) ka bhi use kar sakte hai.
(5) Personal Details
- Aapka kitna bhi koi close friend kyu na ho lekin kabhi bhi apni facebook ki personal details share na kare. Jaise ki aapki id or password kabhi bhi kisi ko na bataye. Agar aisi bewkoofi karoge toh koi bhi aapka account hack kar sakta hai. Facebook homepage par aapko ek feature milega. Vaha par aapko Box me right tick nahi karna hai. Verna jab bhi aap facebook open karege toh voh login on hi rahega.
(6) Account Hack Hai Ya Nahi
- Facebook me ek aisi facility available hai jise ham jaan sakte hai kisne hamara facebook account hack kiya hai. Kon hai jo aapke facebook account par login kar raha hai. Ise facebook login alert bhi kehte hai. Is facility ko use karne ke liye aap simply facebook me login kar ke setting me ja kar activate kar sakte hai. Ek bar acivate karne ke baad jo bhi aapke account par login karega uski information aapko apne email account par ya mobile par mil jayegi.
Bank Account Kaise Hack Hota Hai
Website ya Facebook hacking se bachne ke liye hamne jo tips bataye hai usse aap facebook friends ke saath share zarur kare. Taki unhe bhi pata chal sake ki apne facebook account ko protect kaise kare. Milte hai apni next post mein tab tak Take Care