Mind Ko Aazaad Karnewaale 38 Sawaal

Hello Dosto Agar hame Website banake paise kamane ho Toh shuru-shuru me bahot problems aati hai. Jiski vajah se bahot se bloggers niraash hokar blogging chod dete hai. Aise bloggers ko me kahuga ke niraash mat hoeye. Aur thodi dhiraj ke sath kaam kare. Is field se realated apna knowledge and experience badhaye. Me aapki success ki Journey me aapke sath hu. Isliye me aapke liye 38 Qestions laya hu. Jisse khud ko puchne se aap apne mind ko azaad kar sakege. Aur motivate hoke aur achi tarah se kaam kar paoge.

questions that will free blogger mind

Ye Sawaal aise hai jise aap khud ko puchkar apne mind ko azaad kar sakte ho. Aur is tarah hamare mind ki negative soch se bhi azaad ho sakte hai. Ye post specialy blogging field me ya har field me struggle kar rahe strugglers ke liye hai.

Mind Ko Aazaad Karnewaale 38 Sawaal

  1. Sabse Kharaab (bura) kya hai,Unsuccess rehna Ya kabhi try hi na karna ?
  2. Agar life me sach me choti hai toh ham aisa kaam kyu karte hai,Jo hame sach me karne nahi chahiye?
  3. Aisi chiz kyu pasand karte hai jise ham nahi kar sakte ?
  4. Aisi konsi chiz hai jise aap badlna chahte ho ?
  5. Maan lo ke Khushi national currency hai toh Konsa kaam aapko amir bana sakta hai ?
  6. Agar aapka aayushya (jivan) sirf 40 saal tak ka ho toh aap apni life alag tarike se kaise jioge ?
  7. Aapko chote bache ko ek sikh deni hai toh voh kya hogi ?
  8. Kya aapne koi aisi chiz pakdi hai jise chod dena chahiye ?
  9. Aap dost,rishtedar ya pyaar karti vyakti ka Jivan bachane ke liye koi niyam-kanoon tod sakte ho ?
  10. Aisa kyu hota hai jo chiz se aapko khushi milti hai,Usse kisi or ko farq nahi padta Ya khushi nahi milti ?
  11. Life ke liye kya zaroori hai Paise kamana ? Ya Khushi kamana ?
  12. Kya aapne kisi ko maaf kiya hai ? Ya maafi maagi hai ?
  13. Aisa konsa kaam hai jise aap karna chahte ho par abhi tak kiya nahi ?
  14. Aisi konsi vajah hai jo aapko aage badhne se rok rahi hai ?
  15. Aapne hazaar vajah khoj li ki Me Yeh nahi kar sakta,Par ek vajah khoji ke me yeh kar sakta hu ?
  16. Kya aapke dukhi rehne se kisi ko farq padta hai ?
  17. Agar hame Tour pe jana ho toh Bahot dino pehle se planning shuru ho jati hai,Par life me kaha jana hai uski planning ki kabhi ?
  18. Aapki life ka sabse bada villain kon hai ?
  19. Sabse kharab kya hai,Jab koi acha dost aapse door chala jaye voh Ya hamare pass me rehne wala dost hamse baatchit band karde voh ?
  20. Kya Aap aese dost ya blogger bane ho jiski asha aap dusre logo se karte hai ?
  21. Kya aapko 5 saal pehle ki baat yaad hai jab aap bahot hi dukhi the ? Is baat pe jab aap sochte hai tab aapko aaj koi farq padta hai ?
  22. Agar koi kaam aaj nahi karoge Toh usse kab karne ka socha hai ?
  23. Shanka bina ye jana sambhav hai ki kya acha hai ? aur kya bura ?
  24. Famous hone ke liye Kya aap jivan ke 10 saal kam kar sakte hai ?
  25. Aapka sapna aapne kis Age (Umar) me pura karne ka socha hai ?
  26. Ham galti se sikhte hai toh galti karne se darte kyu hai ?
  27. Aisa konsa kaam hai jise aap alag tarike se karoge ?
  28. Kya acha hai sahi vaqt ka wait karna Ya sahi vaqt lana ?
  29. Abhi tak ke jivan me aap jitna bhi jiye usme kuch bada kiya ?
  30. Kya aapne achi tarah se blogger ki jankari ko sikha ? follow kiya ?
  31. Aap jis field me ho aapko us field ka pura knowledge hai ?
  32. Kaam karne ka Vishwas Knowledge and Experience se aata hai,voh aapne kiya ?
  33. Hame bhagwan pe vishwas hona chahiye Ya khud pe ?
  34. Aap liye kya acha hai Aur kya bura Ye kon decide karega ?
  35. Aapke liye kya acha hai Aap karna chahte hai voh Ya duniya aapse karvana chahti hai voh ?
  36. Voh konsa kaam hai jise aap raat-din kar sakte ho ? Vo bhi bina ruke ya thake ?
  37. Jisse jitna ho usse ham haraa sakta hai Par jisse jitna hi naa ho usse kon haraa sakta hai ?
  38. Kya aapko pata hai Jo aapka idol hai Aur jo log bahot successful hai voh apne 24hrs me kya karte the ?

Issi tarah kuch or bhi best motivation books hai jise padh kar aap apne mind ko aazad kar sakte ho or apni life me bahut kuch kar sakte ho. Maine aapke liye top 10 hindi motivation books ki list ready ki hai jise aap only 100 se 200 rupees me buy kar sakte hai.Books ko kharidne ke liye SHOP par visit kare. Aakhir kar me itna hi kahuga ki “Sikhna Band Toh Jitna Band” is liye hamesha sikhte rahiye jeet hogi ! Comment se hame bataye ke aapko ye questions kaise lage ?Aur Haa,Hame Ye bataye ke aapko konsa Question best laga !

DAWAiLAJ
Logo